Sunday, January 4, 2009

Shayari

Uska aana bhi anjana sa lagta hai,
Jab koi dost begana sa lagta hai.

Jeham mein khushboo band to kar lete shayad,
Mandir ka phool par, purana sa lagta hai.

Apni khwaishon ka hisaab rakh pate magar,
Har khwaab tuta paimana sa lagta hai.

Dilon ko jodta sachcha pyar ho hasil,
Kuch kho dena, tab bhi pana sa lagta hai.

Paanvon ne manzil ko pana thaan liya jab,
Har rasta tab to pahchana sa lagta hai.

No comments:

Post a Comment